Facebook ID Hack Hone Se Kaise Bachaye Tips In Hindi
फेसबुक अकाउंट आईडीई हैक होने से कैसे बचाए सेफ्टी टिप्स हिन्दी में
Aajkal Facebook Hacking Ek Khel Sa Ho Gaya Hai Hmare Hi Dost Hame Pareshan Karne Ke Liye Hamara Facebook Account Hack Kar Lete Hai Yaa Fir Hmara Partner Ya Lover Hampar Nazar Rakhne Ke Liye Hmara Account Hack Kar Leta Hai Aur Kuch Aise Bhi Hote Hai Ki Facebook Ya Whatsapp Hack Karne Ke Baad Batate Bhi Nahi Ki Unhone Hmari I’d Hack Ki Hai Aur Hmari I’d Se Hamare Friends Ko Preshan Karte Hai
Facebook Ek Social Networking Hai Jaha Jakar Aap Kisi Ko Bhi Internet Ke Jariye Dekh Sakte Hai Kisi Bhi Bade Celebrity Ko Aur Apni Facebook Par Bhi Aap Apni Baat Kahkar Apni Facebook I’d Ko Masahur Kar Sakte Hai Facebook Ke Jariye Aap Duniya Me Kisi Bhi Kone Ke Vyakti Se Jud Sakte Hai,
Aur Usse Dosti Kar Sakte Hai Facebook Par Friend Circle Bahut Bdaa Ban Jaata Hai Aise Me Koi Bhi Dost Jo Ki Aapki I’d Hack Na Karle Aise Bahut Saare Funday Hote Hai Facebook Par Kai Laakh Log Galat Password Daal Kar Facebook Hack Karne Ki Kosish Krte Hai Aur Jo Ki Ho Bhi Jaati Hai
Isilye Aaj Mai Aap Sabko Btaunga Ki Aap Sabhi Apne Facebook Account Ko Kaise Secure Kar Sakte Hai Kaise Aap Apni I’d Ko Hack Hone Se Bachaa Sakte Hai Kyuki Security Majbut Rahegi To Koi Bhi Aapki I’d Hack Nhi Kar Sakta Hai
Facebook Account Secure Kaise Rakhe Best Tips In Hindi
FB Account Hack Hone Se Kaise Bachaye Hindi Tips
To Chaliye Jante Hai Ki Kaise FB Account Hack Hone Se Bachaya Ja Sakta Hai
(1) Jab Aap Facebook I’d Log In Karte Hai To Aapko Apka I’d Email Ya Number Aur Password Daalkar Login Karna Hota Hai Tab Aapne Agar Kabhi Dhyan Diya Ho To Keep Me Log In Ka Option Bhi Hota Hai Ispe Click Karne Ka Matlab Hota Hai Ki Jab Aap Facebook I’d Log Out Kar Dete Hai Tab Bhi Aapki I’d Log In Rahati Hai,
Ish Option Ka Use Aap Sirf Apne Personal Computer Ya Phone Me Kare Jisse Ki Aapko Baar Baar Login Na Karna Pade Aur Aapki Id Open Rahe Lekin Agar Aap Apni I’d Safe Rakhna Chahte Hai Aur Koi Bhi Aapka Computer Ya Phone Use Kar Leta Hai To Is Option Ko Chhor De Ispar Click Na Kare, Jisse Apka ID Aur Password Kisi Aur Se Share Hone Se Bach Jata Hai.
(2) Aapka Facebook I’d Password Majbut Rakkhe Aisa Password Rakhhe Ki Koi Guess Na Kar Paye Ki Aapka Facebook I’d Password Kya Hoga Kbhi Kbhi Koi Apna Mobile No Ya Apna Naam Ya Koi Bhi Favourite Word Jo Ki Aap Apna Facebook Password Rakh Lete Hai Aur Fir Yahi Password Aapke Friends Guess Kar Lete Hai Aur Aapki I’d Hack Ho Jaati Hai Aapke Password Ko Majbut Rakhne Ke Liye Aap Aap Apne Password Me #,@,& Aise Words Ko Jarur Use Kare Jo Ki Koi Jaldi Se Guess Na Kar Paaye Inse Aapka Password Majbut Hoga Aur Aapki Facebook I’d Hack Bhi Nahi Hogi.
(3) Aapke Facebook Account Ke Dashboard Me Jaaye Aur Waha Se Setting Par Click Kare Setting Option Par Click Karne Ke Baad Aapko Security Ka Option Milega Fir Ish Par Click Kare Aur Login Alert Enable Karde Aisa Karne Se Jab Bhi Aapka Facebook Account Login Hoga Aapke Pass Notification Aa Jayega,
Aur Agar Aapka Facebook Account Koi Hack Karke Login Krta Hai To Appke Paas Notification Phuchegaa Jisse Aapka Pata Chal Jayega Ki Koi Aapke Facebook Account Ke Sath Chhedchaad Kar Raha Hai Ish Security Ko Lagaane Ke Baad Email Bhi Aata Hai Aur Jish Mobile Number Se Facebook Account Connect Hai Us No. Par SMS Bhi Aa Jata Hai
(4) Security Ke Option Me Aapko Trusted Facebook Friends Add Karne Ka Option Milega Agar Kbhi Aisa Hota Hai Ki Aap Aapki Facebook I’d Log In Nahi Kr Pa Rahe Hai To Aap Aapke Jo Trusted Facebook Friends Hai Unko Call Karke Code Le Sakte Hai,
Abhi Friends Ke Pass Alag Alag Code Jayega In Sabhi Code Ko Ek Sath Daalne Par Facebook Login Ho Jati Hai But Aap Apne Trusted Facebook Friends Me Sirf Unlogo Ko Hi Add Kare Jo Ki Iska Galat Use Na Kare Aur Aapko Unpar Bharosa Bhi Ho.
(5) Facebook I’d Email Se Agar Bnaai Hai To Mobile Number Jarur Add Kare Bhale Hi Baad Me Use Hide Kar De Jisse Ki Aapka Mobile Number Koi Dekh Na Sake Aur Agar Aapne Mobile Number Add Nahi Kiya Hai To Add Kar Le Kyuki Agar Aap Facebook Password Bhul Jaate Hai,
To Mobile Number Se Password Forget Karna Bahut Hi Aasan Hai Forget Password Ke Option Me Jakar Aapke Mobile No. Ko Daalne Par Aapke Number Par Ek OTP Code Aa Jayega Jise Aap Facebook Continue Karne Ke Liye Dalenge Aur Aapki Facebook I’d Fir Se Open Ho Jayegi Mobile Number Se Password Forget Karna Aasan Hota Hai Isilye Mobile Number Add Jarur Kar Le.
(6) Facebook Par Jyada Friends Naa Banaaye Jinko Aap Jante Hai Unhe Hi Friend List Me Add Kare Kyuki Aaj Kl Hajaaro Facebook I’d Fake Hoti Hai Jinka Maksad Sirf Logo Ko Pareshan Krnaa Hota Hai To Isilye Kisi Bhi Unknown Bande Ki Request Accept Na Kare Jinko Aap Personally Jaante Hai Unki Hi Request Accept Kare.
(7) Kabhi Kabhi Facebook Par Option Aata Hai Games Ka Ya Kisi Bhi App Ka Jaha Aapko Aapka Facebook Account Se Login Karna Hota Hai Jyadatar To Aisa Social Site Par Games Khelne Ke Liye Hota Hai Matalab Aise Option Games Wagairah Ke Liye Aate Hai Lekin Kbhi Kbhi Agar Koi Hmari I’d Hack Karne Ki Kosish Kar Rha Hai To Bhi Aise Hi Games Ya App Me Log In Karne Ka Option Aata Hai Jisse Ki Aapka Facebook Account Hack Ho Sakta Hai To Aisi Jagah Login Naa Kare In Options Ko Jyada Se Jyada Ignore Kare.
(8) Apne Computer Aur Phone Me Antivirus Jarur Rakhe Kyuki Agar Aapke Computer Mobile Phone Me Virus Aa Jata Hai To Jis Kisi Ne Bhi Us Virus Ko Banaya Hai Uske Pass Aapki Sbhi Jaankari Pahuch Jaati Hai Jisse Ki Aapka Computer Aur Fon Ke Account Hack Ho Sakte Hai Isilye Antivirus Jarur Rakkhe.
Final Words:-
To Aaj Hmne Aapko Btaya Ki Aap Apne Facebook Account Kaise Secure Rakh Skte Hai Aap Ye Sbhi Ideas Jo Hamne Aapko Btaye Hai In Sbhi Ko Jarur Kare Inse Aapka Facebook Account Secure Rahega Aur Koi Aapki I’d Koi Hack Nahi Kar Payega.
Agar Aapko Yah Post Pasand Aaya Hai To Ise Share Kare Aur Comments Jarur Kare Aur Hame Btaye Ki Aapko Hamari Ye Post Kaisi Lagi.
Great work keep sharing